HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH

HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH

Assalamualaikum

  • Home
  • Ramzan ul Mubarak
  • Ramzan 2025 timing card
  • Juma khutwa Masjid Etawah
    • Ishtihar Juma khutba
    • ETAWAH ishtihar
  • All post
    • Tuaheed kiya hai ?
    • Post Muharram
  • YouTube video
    • YouTube video
  • App
  • More
    • Home
    • Ramzan ul Mubarak
    • Ramzan 2025 timing card
    • Juma khutwa Masjid Etawah
      • Ishtihar Juma khutba
      • ETAWAH ishtihar
    • All post
      • Tuaheed kiya hai ?
      • Post Muharram
    • YouTube video
      • YouTube video
    • App

Assalamualaikum

HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH

HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH
  • Home
  • Ramzan ul Mubarak
  • Ramzan 2025 timing card
  • Juma khutwa Masjid Etawah
    • Ishtihar Juma khutba
    • ETAWAH ishtihar
  • All post
    • Tuaheed kiya hai ?
    • Post Muharram
  • YouTube video
    • YouTube video
  • App

Muharram ke kuchh masail aur sawalaat (question answer)

Muharram je roze kitny hai?

Muharram ke roze

*Muharram ke Roze Rakhne ki Tareekh (Date)*
---------------------------------------------
👉 *9 Muharram = 16 July* (Aashoora se Aik Din pahle ka Din)

👉 *10 Muharram = 17 July* (Aashoora ka Din)

👉 *11 Muharram = 18 July.* (Aashoora se Aik din bad ka din)

1) *10 Muharram* (Yaum-e-ashoora) ka Roza Rakhne se pichle "1 saal" ke gunah Maaf kar diye jate hain.
----------------------------
👉 RasoollAllah ﷺ ne Farmaya: - Khusoosan Yaum-e-ashoora (yani  10 Muharram) ka roza rakha jaye. *isse guzishta saal ke gunah maaf ho jate hain.*
📚 (Sahih Muslim:- #2747)

2) *9 Muharram ka Roza bhi Rakhna chahiye*
📚( Sahih Muslim:-2658)  

3) *Koi Agr 9, 10 Muharram ka Na Rakh Ske to wo 10, 11 Muharram ka bhi Rakh Sakta hai.*

*Hamare group or channel se judne ke liye niche diye gaye link pr click kare*

*#Whatsapp Group👇*
*HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH*📚
https://chat.whatsapp.com/JJYWd43WySaBDmrOtgcTdB

*JOIN ANY ONE👆*
And youTube chennal ko Sabskrib kare or share kare
*YouTube link* 👇

https://youtube.com/@MadinamasjidEtawah285?si=ZO1vlecfuUEZjGGa

*#Telegram Channel*👇
*HUFFAZ ETAWAH 📚*
https://t.me/joinchat/UfS-MtjeOL1w2UVs

*Website*
https://madinaetawah.godaddysites.com

*Blogspot*
https://madinamasjidetawah1.blogspot.com

*Administrator*
*Abuhuraira Ansari* 📲+91 6397822551

9 Muharram ke roze ka byaan

Hadees:- 9 Muharram ke Roza ka bayan
-------------------------------------
👉 10 Muharram ke sath sath 9 Muharram ko bhi roza rakh lena chahiye taki yahudiyo ki mukhalifat ho jaye. *yahudi bhi Ashoora ka roza rakhte the kyuki iss din Musa (a.s.) ko firon se nijat hasil hui thi to woh Allah ke shukr ke taur par roza rakhte the. Aur isi wajah se Nabi karim ﷺ ne bhi roza rakhne ka hukm diya aur sath sath yeh bhi farmaya ki agle saal me 9 muharram ka (bhi) roza rakhunga lekin apki wafaat ho gai.*
📚( Sahih Muslim:-2658)  

*Hamare group or channel se judne ke liye niche diye gaye link pr click kare*

*#Whatsapp Group👇*
*HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH*📚
https://chat.whatsapp.com/JJYWd43WySaBDmrOtgcTdB

*JOIN ANY ONE👆*
And youTube chennal ko Sabskrib kare or share kare
*YouTube link* 👇

https://youtube.com/@MadinamasjidEtawah285?si=ZO1vlecfuUEZjGGa

*#Telegram Channel*👇
*HUFFAZ ETAWAH 📚*
https://t.me/joinchat/UfS-MtjeOL1w2UVs

*Website*
https://madinaetawah.godaddysites.com

*Blogspot*
https://madinamasjidetawah1.blogspot.com

*Administrator*
*Abuhuraira Ansari* 📲+91 6397822551

Sawal:- Kya koi Roza Rakhe or Namaz na pdhe to Roza Qubool hoga?

*Sawal:- Kya koi Roza Rakhe or Namaz na pdhe to Roza Qubool hoga?*
---------------------------------------
Nabi ﷺ ne Farmaya:-
👉 *Jisne "Asar" ki Namaz Chori uske Sare Amal Zaya (Bekar) ho gye.*
📚(Sahi Bukhari:553)
👆 *Zara Sochiye Nabi ﷺ ne yaha Sirf "Asar" Ki Namaz Chorne walo ke bare me kaha ki Uske Amal Bekar ho gye, Agr koi Saari Namaz Chor raha hoto uska baki Amal kaise Qubool hoga?*

👉 kisi bhi Amal ko Qubool hone ke kiye Shart hai ki aap Shirk ya Kufriya Amal na krte ho.
Or NAMAZ ke bare me Rasoolullah ﷺ ne Farmaya:-
👉 *Jisne jaan boojh kar Namaz ko chhora usne kufr kiya*
📚[Ibne Maja:- 1079]
👆 *Matlab ye hai ki Namaz Ka na pdhna aapko kufr tak le jata hai.*
👉 Or Shirk ya kufr krne wale ke Amal Qubool nahi hote:-
Allah ne kaha:-
👉 "(Ai nabi ﷺ) beshak apki taraf bhi aur apse pehle (k tamaam nabiyo) ki taraf bhi wahi ki gai hai k *agar apne shirk kiya to beshak apka "amal zaaya (bekar)" ho jaega or aap nuqsan uthane walo me se ho jaenge*
📚(surah zumar 39, ayat-65)

👆 *En Sari Hadeeso ke Base pe Ulma ye Kahte hain ki Koi Namaz Jaan boojh kar Chhore to Uska Roza bhi Qubool nhi hoga.*❌
Wallhu Alam (Allah Knows best)

*Hamare group or channel se judne ke liye niche diye gaye link pr click kare*

*#Whatsapp Group👇*
*HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH*📚
https://chat.whatsapp.com/JJYWd43WySaBDmrOtgcTdB

*JOIN ANY ONE👆*
And youTube chennal ko Sabskrib kare or share kare
*YouTube link* 👇

https://youtube.com/@MadinamasjidEtawah285?si=ZO1vlecfuUEZjGGa

*#Telegram Channel*👇
*HUFFAZ ETAWAH 📚*
https://t.me/joinchat/UfS-MtjeOL1w2UVs

*Website*
https://madinaetawah.godaddysites.com

*Blogspot*
https://madinamasjidetawah1.blogspot.com

*Administrator*
*Abuhuraira Ansari* 📲+91 6397822551

Muharram ke mahine me kiya sab karna Jayez Nahi? ❌❌❌

*Abuhuraira Ansari* 📲+91 6397822551


Kiya 10 or 11 Muharram ka Roza bhi Rakha Ja Sakta hai? Agr 9-10 ka Nahi Rakh paye to?

Kya 10 or 11 Muharram ka Roza bhi Rakha Ja Sakta hai? Agr 9-10 ka Nahi Rakh paye to?
------------------------------------------
Rakha Ja Sakta hai ✓✓✓✓✓
------------------------------
👉10th Muharram ko Allah Ta’ala ne *Hazrat Musa (Alaihi Salam) ki Ummat ko Firoun ki Qaid se Azad karwaya aur Firoun ko Paani me Garkh Kar diya tha, Lihaja iss ke Shukrane ke taur par Musaa (Alaihi salam) ki Ummat ye Ashoora ka Roza rakhti thi,* aur Ummat-e-Mohammadiya ko 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakhna hai. Taake Yahud aur nasara se Musabahat na ho aur unki mukhalifat ho.
👉 *Ulema Unki Mukhalifat ke talluk se kehte hai ke unki Mukhalifat ka hukm isiliye kyunki wo Qaum bhi Aizaz paane ke baad Allah aur uske Nabiyo ke Hukm ki mukhalifat karne lag gaye they, Lihaja unki mukhalifat me hame Ek ke bajaye 2 roze rakhne ka hukm mila.*
📚 (Sahih Muslim:-2747)
📚( Sahih Muslim:-2658)


Hamare group or channel se judne ke liye niche diye gaye link pr click kare

*#Whatsapp Group👇*
*HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH*📚
https://chat.whatsapp.com/JJYWd43WySaBDmrOtgcTdB

*JOIN ANY ONE👆*
And youTube chennal ko Sabskrib kare or share kare
*YouTube link* 👇

https://youtube.com/@MadinamasjidEtawah285?si=ZO1vlecfuUEZjGGa

*#Telegram Channel*👇
*HUFFAZ ETAWAH 📚*
https://t.me/joinchat/UfS-MtjeOL1w2UVs

*Website*
https://madinaetawah.godaddysites.com

*Blogspot*
https://madinamasjidetawah1.blogspot.com

*Administrator*
*Abuhuraira Ansari* 📲+91 6397822551

Kya Muharram Gam (गम) ka Maheena hai?

Kya Muharram Gam (गम) ka Maheena hai?
---------------------------------------------
Allama Iqbal ne kaha:-
👉 *Keh Do Gham-E- Husain Manany Walon Ko*
*Momin Kabhi Shaheedo Ka Matam Nhi Krte.*
👉 *Hai Ishq Apni Jan Se Zyada Aal-E-Rasol Se*
*Yun Sar-E-Aam Hum Unka Tamasha Nai Krty*.❌
---------------------------------
👉 *Phir bat yeh bhi qabile ghaur hai ki islami tarikh shahaadaton se bhari padi hai. koi din aisa nahi jisme kisi sahabi ki shahaadat na hui ho. jaise ki "Umar Farooq" (RaziAllahu anhu) ki shahadat ka waqiya. agar baad me hone wali in shahadaton ke manaane ki shar'an koi haisiyat hoti to hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ki shahadat is laaiq thi ki ahle islam iska aitebar karte. Hazrat Usman RaziAllahu Anhu ki shahadat aisi thi ki iski yadgar manai jati. phir in shahadato ki bina par agar islam me maatam ki ijaazat hoti to yaqinan tarikh-e-islam ki yeh dono shahadaten aisi thi ki ahle islam in par jitna bhi maatam karte kam hota.*

👉 *Hasan or Hussain (r) ki shahadat ka waqiya to Nabi Kareem ﷺ ki wafaat se "50 saal" baad pesh aya*
-----------------------------------
👉 Yeh bhi khayal rahe ki is *mahine ki hurmat sayyidina Hazrat Husain RaziAllahu anhu ke waqiya-e-shahadat se pehle hi sabit chali a rahi hai. jaisa ki upar wazahat guzri*. Baaz log yeh samajhte hain ki *yeh mahina isliye qabil-e-ahtraam hai ki isme hazrat Husain RaziAllahu anhu ki shahadat ka waqiya pesh aya tha. yeh khayal bilkul ghalat hai. Yeh shahadat ka waqiya to Nabi Kareem ﷺ ki wafaat se 50 saal baad pesh aya aur deen ki takmeel Nabi kareem ﷺ ki zindgi me kar di gai thi.*
📚(Dekhiye Surah Mayda, Ayat No-3)

*Or Matam ko to Nabi ﷺ ne taqeed se mna Farmaya tha*
-----------------------------------------
*Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai Azab hota hai* 😔😔
------------------------------------
👉Abdullah bin Umar radi allahu taaala anhu ne apne walid se rivayat kiya ki  Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmya ke Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai azab hota hai.
📚 {Sahih al-Bukhari:,1292}

👉 Lekin ek to *islam me maatam ki ijazat nahi, dusre yeh tamaam waqiyaat takmeel deen ke baad pesh aye hain*, isliye inki yaad me majlisen aur mehfil-e-maatam qaaim karna deen me izaafa hai.

👉Rasool Allah  ﷺ  ne farmaya:-
👉 *Har bidat (deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.*
📚 [Sahi Muslim #2005 islam360]

*Allah ne farmaya:*
-----------------------------------
👈 *اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا*

👉 *Mai ne tumhare liye Deen ko mukammal (complete) kr diya hai*
(matlb deen ke tariqe me koi bhi cheez joda ya hataya nhi ja sakta hai.)
📚 [Quran Surah mayda ayt: 3]

*Muharram gam ka Maheena nahi Ibadat ka Maheena hai.*
----------------------------------------
👉 Muharram me kasrat se *nafli roze rakhne chahiye kyunki Nabi Kareem ﷺ ne farmaya- Ramzaan ke baad afzal tareen roze Allah ke mahine Muharram ke hain.*
📚( Abu Dawud-2429, Sahih Muslim-1163, 1123,)
( *हर बात दलील के साथ*)

*New Year (Muharram) ki Mubarakbad dena kisi bhi Sahi hadees Se Sabit nhi*❌
-----------------------------------------
👉Jab *Sahaba ne 1 doosre ko New year (Muharram) ki Mubarakbad nhi di to ham kyu de? Kyuki Muharram ko Saal ka Pahla maheena Sahaba ke Zamane me bnaya gya tha*
--------------
👉Hame *usi Tareeqe se jeena Chahiye jo Tareeqa Rasoolullah ﷺ ka tha.*
Rasool Allah  ﷺ  ne farmaya:-
👉 *Har bidat(deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.*
📚 [Sahi Muslim #867]



*Sawal:- Muharram ke Roze kab Rakhne hain?*
-------------------------------------------
1) *"10 Muharram"*
*(Yaum-e-ashoora) ka Roza Rakhne se pichle 1 saal ke gunah Maaf kar diye jate hain.*
----------------------
👉 Khusoosan Yaum-e-ashoora (yani  10 Muharram) ka roza rakha jaye. isse guzishta saal ke gunah maaf ho jate hain.
📚 (Sahih Muslim:-2747)

2) *9 Muharram ke Roza ka bayan*
-------------------------------------
👉 10 Muharram ke sath sath 9 Muharram ko bhi roza rakh lena chahiye taki yahudiyo ki mukhalfat ho jaye. *yahudi bhi Ashoora ka roza rakhte the kyuki is din Musa a.s. ko firon se nijat hasil hui thi to woh Allah ke shukr ke taur par roza rakhte the. Aur isi wajah se Nabi karim ﷺ ne bhi roza rakhne ka hukm diya aur sath sath yeh bhi farmaya ki agle saal me 9 muharram ka (bhi) roza rakhunga lekin apki wafaat ho gai.*
📚( Sahih Muslim:-2658)  
*Dekhte Tafseel:-*
👇👇👇👇👇 https://islamqa.info/en/answers/21785/recommendation-to-fast-taasooa-with-ashoora)

3) *Kya 10 or 11 Muharram ka Roza bhi Rakha Ja Sakta hai? Agr 9-10 ka Nahi Rakh paye to?*
------------------------------------------
*Rakha Ja Sakta hai* ✓✓✓✓✓

Tafseel dekhe Urdu translation
👇👇👇👇👇👇👇👇👇
https://islamqa.info/ur/128423

( *हर बात दलील के साथ*)

*Sawal:- Yahudi Ashure ka Roza kyu Rakhte they ?*
----------------------------------------
👉10th Muharram ko Allah Ta’ala ne *Hazrath Musa (Alaihi Salam) ki Ummat ko Firoun ki Qaid se Azad karwaya aur Firoun ko Paani me Garkh Kar diya tha, Lihaja is ke Shukrane ke taur par Musaa (Alaihi salam) ki Ummat ye Ashoora ka Roza rakhti thi,* aur Ummat-e-Mohammadiya ko 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakhna hai. Taake Yahud aur nasara se Musabahat na ho aur unki mukhalifat ho.
👉 *Ulema Unki Mukhalifat ke talluk se kehte hai ke unki Mukhalifat ka hukm isiliye kyunki wo Qoum bhi Aizaz paane ke baad Allah aur uske Nabiyo ke Hukm ki mukhalifat karne lag gaye they,.. lihaja unki mukhalifat me hume ek ke bajaye 2 roze rakhne ka hukm mila.*
📚 (Sahih Muslim:-2747)
📚( Sahih Muslim:-2658)  

*Dekhte Tafseel:-* Shaikh saleh-Al munajjid
👇👇👇👇👇 https://islamqa.info/en/answers/21785/recommendation-to-fast-taasooa-with-ashoora)
( *हर बात दलील के साथ)*

*Muharram ke mahine me ye sab karna Jayez Nahi.* ❌❌❌
----------------------------------------
❌ *Tazia banana*

❌ *Matam karna.*

❌ *Khaas koi Pakwan pakana*

❌ *logo me sharbat baatna* (Specially khaas din)

❌ *Kisi bhi din ya Ebadat ko makhsoos khud se kar lena jisko Rasoolullah ﷺ ya Sahaba ,Tabaee (Salef e saleheen) ne nahi kiya hoto wo Bidaat hai.*

*Jo log kisi Ebadat ke bare me Aisa kahte hain ki*
👉 *Mna (मना) to nhi kiya gya hai na, to kr le to kya diqqat hai?*
--------------------------------------
👉 *Unko es Hadees pe dhayan dena chahiye.*👇
----------------------------------------
👉Rasool Allah  ﷺ  ne farmaya:-
👉 *Har bidat(deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.*
📚 [Sahi Muslim #867 islamqa]

👉Jisne hamare is *deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nahi hai to wo Amal mardud hai.*
📚 [Sahih al bukhari:2697]
👆 *Es hadees se yhi pta chalta hai ki Ebadat me koi bhi aisi cheez khud se krne lg jana "bidat" hai jisko Rasoolullah ﷺ ne na kiya ho*.

👉 *Ab jo log kahte hain ki mna to nhi kiya gya hai na, to kr le to kya dikkt hai?*
👉 Rasoolullah ﷺ ne Namaz me *3 sajda krne se mna nhi kiya hai ab btaye koi kre to kya uski namaz ho jayegi.?*
👆apka jawab hoga ki *nhi* , kyuki Rasoolullah ﷺ ne 2 hi sajda kiya hai.
👉 *To theek esi trah hmko har cheez ki Ebadt me ye dekhna chahiye ki kya aisa krna Rasoolullah ﷺ se sabit hai ya nhi jis trah hum namaz me 3 sajda nhi krte usi trh hme doosre ebadat me bhi nhi krna chahiye.*
Allah ne farmaya:
👈 *اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا*

👉 *Mai ne tumhare liye Deen ko mukammal (complete) kr diya hai*
(matlb deen ke tariqe me koi bhi cheez joda ya hataya nhi ja sakta hai.)
📚 [Quran Surah mayda ayt: 3]
( *हर बात दलील के साथ*)


Hamare group or channel se judne ke liye niche diye gaye link pr click kare

*#Whatsapp Group👇*
*HUFFAZ LANGHAI TOLA ETAWAH*📚
https://chat.whatsapp.com/JJYWd43WySaBDmrOtgcTdB

*JOIN ANY ONE👆*
And youTube chennal ko Sabskrib kare or share kare
*YouTube link* 👇

https://youtube.com/@MadinamasjidEtawah285?si=ZO1vlecfuUEZjGGa

*#Telegram Channel*👇
*HUFFAZ ETAWAH 📚*
https://t.me/joinchat/UfS-MtjeOL1w2UVs

*Website*
https://madinaetawah.godaddysites.com

*Blogspot*
https://madinamasjidetawah1.blogspot.com

*Administrator*
*Abuhuraira Ansari* 📲+91 6397822551


Copyright © 2024 HUFFAZLANGHAITOLAETAWAH - All Rights Reserved.

Powered by

This website uses cookies.

**"Hum apke behtar tajurbe, website traffic ka tajziya aur apni website ki behtari ke liye cookies ka istemal karte hain. Hamari cookies ko accept karne par, apka data dosre users ke data ke sath mil kar tajziya ke liye istemal hoga."**

DeclineAccept